nature wallpaper, ocean, storm-7461792.jpg

Narazgi Tujse Aisi

Socha tha jitna, hai saath aj utna;
Narazgi hai ye sirf, ki ek teri kami hai,
Khushiyaan behisaab hai; baatein kai hai,
Jasbat naye hai, par mehsoos karne ke liye teri kami hai.

Saath chalte chalte agaye vaha tak, jaha se agey janeka koi raasta nahi tha;
Dhokha zindagi ka kaise yeh!
Ki filhaal raastein itne hai,
Par saath chalne ke liye aaj tu nahi hai.

Kimmat muje thi teri, kimmat tuje meri thi itni,
Yahi kimmat chukate chukate, najaane kab teri zindagi hi chukti ho gayi.
Shayad maut tuje maar na payi, aur zindagi muje zinda na kar payi,
Kya pata kaisa ajeeb rishta tha vo, jisme maut bhi tuje mere liye zinda kar gayi.

Afsos itne jatane hai, rone ke wajah bhi kam nahi hai,
Kaise jatau ye baat, ke ab dard manane k liye dil ki kami hai.
Aaj tak samaj nahi ayi ek baat,
Ki teri yaadein muje zinda rakhti hai, ya raat ke saath muje aur khali karti hai;

Jaate jaate tu ek kaam adhoora chhod gaya,
Ab ya toh teri yaadein, yaa toh muje apne saath lena bhul gaya.
Kehte hai bin maange zindagi zyada kuch deti nahi,
Par sali khud bin maange le bohot kuch jaati hai.

Jab Bachchan ke bol yaad karta hu,‘Tu hoti toh vaisa hota…tu ye karti..vo karti..’
Sach bolu toh, kuch lamho ke liye main saans lena bhul jata hu.
Aya kar tu har raat mere sapno mein, Jaha sirf tu hai aur shikayaton ki kami hai,
Kuwatein hai ki aadatein ho jaye kuch aisi,
Ki tere sapno ko haqeeqat, aur zindagi ko sapna maan lu aisi;

Guzara kar lunga main tere bina; honslo ki kami nahi hai,
Baat ye hai ke jaisa main tha tere saath,
Tere bina vapis vaise rehne ki us ek neeyat ki kami hai…

Visits: 1887

Madhvi Panchal

Related Posts

When You’re Moving On

When You’re Moving On

Maa Aisi Hi Hoti Hai…

Maa Aisi Hi Hoti Hai…

Lockdown Ke Dauran

Lockdown Ke Dauran

BEET GAYI, SO BAAT GAYI? – 2019

BEET GAYI, SO BAAT GAYI? – 2019

2 Comments

  1. Teri 1st Hindi poem k liye me bhi thoda add kar deta hu..

    Mera apna tajurba hai tumhe batla raha hu main
    koi lab chu gaya tha tab ke ab tak gaa raha hu main
    bichud ke tum se ab keise jiya jaaye bina tadpe
    jo me khud he nahi samjha wohi samjha raha hu main..

Leave a Reply to Krishna Patadia Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Recent Posts

Advertisements

Categories

Reviews:

Advertisements