FAASLEIN

FAASLEIN

Yeh tab ki baat hai,
Jab hum na toh faaslein samajte the, na hi kareebiyan,
Dost hi dost the, dher saare khilone the,
Lukka-chuppi ka daav , aur maa ke pallu ka chhav.
Garmi ki chhuttiyo mein apne gaav jana, kheton mein daudna,
Aam ke ped se kacche aam todna aur uske malik se bachkar bhaagna,
Barf gola pe kaunsa rang chahiye uspe ekdum gaur se vichar karna,
Nadaan se sapno mein ek sapna toh sirf jaldi se bade banne ka tha.
Bachpan se thani thi ke zindagi bhar yuhi khush mizaji rahenge,
Na jaane kab khush rehne ki voh aadat aaj ek khwaish ban gayi.
Socha tha jaha bhi jayenge pyar hi pyar lutayenge,
Iss dil-dimag ke dango mein aise fisalte gaye ke jitna pyaar tha, voh bhi gavaatein aaye.
Khushiyon mein khush rehne ke liye kaha mehnat nahi lagti,
Par kabhi laga tha dard mein bhi tum itna hass paoge?
Ye yaariyan na hoti toh kya hota humara,
Nahi hai, isliye mushkil lag raha hai guzara.
Dekha jaaye toh akelapan haqiqat nahi, 
Bus ek zyaati paida karnewala nazariya hai.
Akhir kaunse apno ke beech mein apna sa laga hai,
aur kaunse akelepan mein paraya sa?
Laga tha jab mohobbat hogi tab mehfoos ho jayenge hum,
Asaan lagta tha, sirf ek dil hi toh dena tha;
Andaaza hota ke ek dil ke peeche hum itne barbaad ho jayenge,
Toh shabab mein ghot dete ye ehsaas aur apna lete faaslein.
Faaslon se takleefein hame thi hi kab,
yeh toh kareebi hai jisne kaha se kaha lakar chhod diya hai humein.
Jin raaston pe chalne se darte the hum, Unhi raaston pe itni thokre kha chuke hai,
Ki ab bhatke hue musafir ko unki manzil tak bata sakte hai.


Don’t just get lost in the distances if you can travel past them.
Visits: 3199

Madhvi Panchal

Related Posts

When You’re Moving On

When You’re Moving On

Maa Aisi Hi Hoti Hai…

Maa Aisi Hi Hoti Hai…

Lockdown Ke Dauran

Lockdown Ke Dauran

BEET GAYI, SO BAAT GAYI? – 2019

BEET GAYI, SO BAAT GAYI? – 2019

13 Comments

  1. It was great to memorize old days…
    Great lines enjoyed a lot.
    Just one suggestion that be more focused on subject of Blog like FAASLEIN in this case. Will come out very well.

Leave a Reply to Nafisa Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Recent Posts

Advertisements

Categories

Reviews:

Advertisements